Bina Farz ki adaaegi ke Nawafil qubool nahi
*بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ*
*اَلصَّــلٰوةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُوْلَ اللّٰه ﷺ*
*Suwaal ...✍ Jiske zimma qaza Namazen hon kya uske nawafil maqbool hain*❔❔
*Jawaab ...*✍ Jb tk kisi shakhs ke zimma farz baqi rahta hai, uska koi nafl qabool nhi kiya jata.
*Aalahazrat, Imaam E Ahle Sunnat,Mujaddid EDin O Millat, Ashshah Imaam Ahmad Raza Rahmatullahi Ta'Aala Alayhi Fatawa Razawiyya Shreef,Jild 10/ Safa no.- 179* pr naql farmate hain ki jb *Ammerul moamineen Hazrate Sayyiduna Siddiqe Akbar Radiallahu ta'ala Anhu ki naza ka waqt hua ( To Aapne) Ameerul Moamineen Farooqe Aazam Radiallahu ta'ala Anho ko bulakr farmaya :* "Aye Umar ! (Radiallahu ta'ala Anhu) *Allah Azzwajalla* ke kuch kaam din me hain ki unhe raat me kro to qabool na farmayega aor kuch kaam raat me hain ki unhe din me kro to maqbool na hongen aor *khbardar raho ki koi nafl qabool nhi hota jb tk farz ada na kr liya jaye.*
*Hilytul Awliya, Volume 1/71, Hadees 83*
*Huzoor purnoor Sayyiduna Ghaose Aazam, Maulaye Akram Huzoor Sheikh Mohiyyul Millat Walidain Abu Muhammad Abdul Quadir Jilani Rahmatullahi Ta'ala Alayhi* apne kitab mustataab " *Futoohul Ghaib*" me Aise (ऐसे) *shkhs ki misaal jo farz chodkr nafl bja laye* yun bayaan farmate hain : uski kahawat Aisi (ऐसी) , jaise kisi shkhs ko *badshah apni khidmat ke liye bulaye ye wahan to hazir na hua aor uske ghulaam ki* *khidmatgari me maojood rhe.*
Neez (Aage) farmate hain : *Agr farz chodkr sunnat w nafl me mashgool hoga, yh qabool na honge aor khwaar (zaleel) kiya jayega.*
*Futoohul Ghaib,11*
*Huzoor Shaikh-us-shuyookh Imaam shahabul Millat Walidain Suharwardi Rahmatullahi Ally* *"Awarif Shareef"* me hazrat khwaas Radiallahu ta'ala anhu se naql farmate hain : hme khbar pahunchi ki *Allah Azzawajalla* *koi nafl qabool nhi farmata yahan tk ki farz ada kiya jaye.*
*Allah ta'ala* ese logo se farmata hai : Kahawa tumhari, bd bandah (us bure shkhs) ki manind hai jo qarz ada krne se phle tohfa pesh kre.
*Awarifulm'aarif, Page Number 191*
*Aalahazrat Rahmatullahi Alayhi farmate hain : *Jb tk farz zimma pr baqi rahta hai koi nafl qabool nhi kiya jata.*
*Almalfooz, jild 1/ Safa- 70*
*Han!* jb wo banda apne zimme baqi tamaam farayez se bari ho jata hai to bargahe *Rabbulizzat Azzawajalla*se ummeed hai ki uske nawafil bhi maqbool ho jayenge ki qabooliyyate nawafil me jo cheez rukawat thi, wo zail ho gyee.
*Aalahazrat Rahmatullahi Alayhi mazeed farmate hain :* -
"In sb ki bhi maqbool ki ummeed hogi ki jis jurm ke bais yh qabile qabool na the, jb wo zail hogya to inhe *Bi'iznahi ta'ala* sharfe qabool hasil ho gya."
*Fatawa Razawiyya, Volume 10/ Page no.- 182*
☑ *Note ...*✍
*Sadrushshriyah Badruttariqah Hazrate Allamah Maulana Mufti Amjad Ali Aazmi Rahmatullahi Alayhi farmate hain*: "Qaza Namaaze nawafil se ahm hain yani jis wqt nafl padhta hai unhen chodkr unke badle qazayen padhe ki bariuzzima ho jaye albatta taraweeh aor 12 rakaten (fajr ki 2 sunnate, zohar ki 6 sunnaten, maghrib ki 2 sunnaten, isha ki 2 sunnaten) sunnate muakkida na chode.
*Bahare Shariyat, Volume 1, Part 4/706*
*Khaleele Millat Hazrate Allamah Maulana Mufti Muhammad Khaleel Khan Quadiri Barakati Rahmatullahi Alayhi isi ke tahat farmate hain :* "Aor lao lagaye rakhe ki *Maula Azzawajalla* apne karam e khaas se qaza Namaazon ke zimn me un nawafil ka sawaab bhi apne khazaine ghaib se ata farmade, jin ke awqat me yh qaza Namaazen padhi gyeen.
*Suuni Bahishti Zewar, Page 240*
To jiske jimme farz baki hai (Qaza e umri)aap pehle use ada karein yaa niyat yun karein ke me aaj se meri farz qaza(qaza e umri) ada karunga aur kamaskam 1 din ki 20 Rakat farz ada karein aur uske baad nafal ada karein.aur har din kamaskam 1 din ki kaza e umri ada karein to insah Allah Aap ki nafal namaz qubul hosakti hain.
➖➖➖➖➖➖➖
Comments
Post a Comment