Waseela वसीला

*हिन्दी/hinglish*                             *अक़ायद*

                           *वसीला-1*

*ⓩ* अत्तारिफात सफह 225 पर वसीला का मायने ये बयान किया गया है कि "जिस के ज़रिये रब का क़ुर्ब व नज़दीकी हासिल की जाये उसे वसीला कहते हैं" बेशक अम्बिया व औलिया का वसीला लगाना उनकी ज़िन्दगी में भी और बाद वफात भी बिला शुबह जायज़ है और क़ुर्आनो हदीस में बेशुमार दलायल मौजूद हैं,मुलाहज़ा फरमायें मौला तआला क़ुर्आन मुक़द्दस में इरशाद फरमाता है कि

*कंज़ुल ईमान-ऐ ईमान वालो अल्लाह से डरो और उसकी तरफ वसीला ढूंढो*

📕 पारा 6,सूरह मायदा,आयत 35

*ⓩ* वसीले के ताल्लुक़ से इससे ज़्यादा साफ और सरीह हुक्म शायद ही क़ुर्आन में मौजूद हो मगर फिर भी कुछ अन्धो को ये आयतें नहीं सूझती,खैर आगे बढ़ते हैं फिर मौला इरशाद फरमाता है कि

*कंज़ुल ईमान-ऐ ईमान वालो सब्र और नमाज़ से मदद चाहो*

📕 पारा 2,सूरह बक़र,आयत 153

*ⓩ* इस आयत में सब्र और नमाज़ को वसीला बनाने का हुक्म है,और पढ़िये

*और जब वो अपनी जानो पर ज़ुल्म कर लें तो ऐ महबूब तुम्हारे हुज़ूर हाज़िर हों फिर अल्लाह से माफी चाहें और रसूल उनकी शफाअत फरमायें तो ज़रूर अल्लाह को बहुत तौबा क़ुबूल करने वाला मेहरबान पायें*

📕 पारा 5,सूरह निसा,आयत 64

*ⓩ* इस आयत को बार बार पढ़िये और इसका मफहूम समझिये,नमाज़ ना पढ़ी रोज़ा ना रखे हज ना किया ज़कात नहीं दी शराब पी चोरी की ज़िना किया झूट बोला सूद खाया रिशवत ली गर्ज़ कि कोई भी गुनाह किया मगर की तो मौला की ही नाफरमानी,तो जब तौबा करनी होगी तो डायरेक्ट अल्लाह की बारगाह में तौबा कर लेंगे फिर ये हुज़ूर की बारगाह में भेजने का क्या मतलब,मतलब साफ है कि गुनाह छोटा हो या बड़ा 1 हो या 1 करोड़ अगर माफी मिलेगी तो हुज़ूर के सदक़े में ही मिलेगी वरना बिना हुज़ूर के तवस्सुल से अगर माफी चाहता है तो सर पटक पटक कर मर जाये फिर भी मौला माफ नहीं करेगा,इस आयत की पूरी तशरीह आगे करता हूं मगर अब जबकि बात में बात निकल आई है तो पहले इसकी दलील मुलाहज़ा फरमा लें मौला तआला क़ुर्आन में फरमाता है कि

*कंज़ुल ईमान-फिर सीख लिए आदम ने अपने रब से कुछ कल्मे तो अल्लाह ने उसकी तौबा क़ुबूल की*

📕 पारा 1,सूरह बक़र,आयत 37

तफसीर-तिब्रानी हाकिम अबु नुऐम व बैहकी ने मौला अली रज़ियल्लाहु तआला अन्हु से रिवायत की कि जब हज़रत आदम अलैहिस्सलाम जन्नत से दुनिया में आये तो आप अपनी खताये इज्तेहादी पर 300 साल तक नादिम होकर रोते रहे मगर आपकी तौबा क़ुबूल ना हुई,अचानक एक दिन अल्लाह ने आपके दिल में ये इल्क़अ फरमाया कि वक़्ते पैदाईश मैंने जन्नत के महलों पर उसके सुतूनों पर दरख्तों और उसके पत्तों पर हूरों के सीनो पर गुल्मां की पेशानियों पर ला इलाहा इल्लललाह मुहम्मदुर रसूल अल्लाह जल्ला शानहु व सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम लिखा देखा है,ज़रूर ये कोई बुज़ुर्ग हस्ती है जिसका नाम अल्लाह ने अपने नाम के साथ लिखा हुआ है तो आपने युं अर्ज़ की *अल्लाहुम्मा असअलोका बिहक्क़े मुहम्मदिन अन तग़फिरली यानि ऐ अल्लाह मैं तुझसे हज़रत मुहम्मद सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम के सदक़े से मगफिरत चाहता हूं* तब अल्लाह रब्बुल इज़्ज़त ने उनकी तौबा क़ुबूल फरमाई

📕 खज़ाएनुल इरफान,सफह 7

*ⓩ* सोचिये जब सारी दुनिया के बाप हज़रत आदम अलैहिस्सलाम को मेरे आक़ा हुज़ूर सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम के वसीले की ज़रूरत है तो फिर हम और आप की औकात ही क्या है कि हम बिना हुज़ूर का वसीला लिए मौला से कुछ ले सकें या अपनी मग़फिरत करा सकें,इसीलिए तो मेरे आलाहज़रत अज़ीमुल बरक़त रज़ियल्लाहु तआला अन्हु फरमाते हैं कि

*ला वरब्बिल अर्श जिसको जो मिला उनसे मिला*
*बटती है कौनैन में नेअमत रसूल अल्लाह की*
*वो जहन्नम में गया जो उनसे मुस्तग़नी हुआ*
*है खलील उल्लाह को हाजत रसूल अल्लाह की*

सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम

जारी रहेगा...........

-------------------
-------------------

*ⓩ* Attarifaat safah 225 par wasila ka maane ye bayaan kiya gaya hai ki "jis ke zariye rub ka qurb wa nazdeeki haasil ki jaaye use wasila kahte hain" beshak ambiya wa auliya ka wasila lagana unki zindagi me bhi aur baad wafaat bhi bila shubah jayaz hai aur qurano hadees me beshumar dalayal maujood hain,mulahza farmayein maula taala quran muqaddas me irshad farmata hai ki

*Kanzul imaan-Ai imaan waalo ALLAH se daro aur uski taraf wasila dhoondho*

📕 Paara 6,surah maayda,aayat 35

*ⓩ* Wasile ka taalluq se isse saaf aur sareeh hukm shayad hi quran me maujood ho magar phir bhi kuchh andho ko ye saari aaytein nahin soojhti,khair aage badhte hain phir maula irshad farmata hai ki

*Kanzul imaan-Ai imaan waalo sabr aur namaz se madad chaho*

📕 Paara 2,surah baqar,aayat 153

*ⓩ* Is aayat me sabr aur namaz ko wasila banane ka hukm hai,aur padhiye

*Aur jab wo apni jaano par zulm kar lein to ai mahboob tumhare huzoor haazir ho phir ALLAH se maafi chahen aur rasool unki shafa'at farmayen to zaroor ALLAH ko bahut tauba qubool karne waala meharban paayen*

📕 Paara 5,surah nisa,aayat 64

*ⓩ* Is aayat ko baar baar padhiye aur iska mafhoom samajhiye,namaz na padhi roza na rakha hajj na kiya zakat nahin di sharab pi chori ki zina kiya jhoot bola sood khaya rishwat li garz ki koi bhi gunaah kiya magar ki to maula ki hi nafarmani,to jab tauba karni hogi to direct ALLAH ki baargah me tauba kar lenge phir ye huzoor ki baargah me bhejne ka kya matlab,matlab saaf hai ki gunah chhota ho ya bada 1 ho ya 1 crore agar maafi milegi to huzoor ke sadqe me hi milegi warna bina huzoor ke tawassul se agar maafi chahta hai to sar patak patak kar mar jaaye phir bhi maula maaf nahin karega,is aayat ki poori tashreeh aage karta hoon magar ab jabki baat me baat nikal aayi hai to pahle iski daleel mulahza farma lein maula taala quran me farmata hai ki

*Kanzul imaan-Phir seekh liye aadam ne apne rub se kuchh kalme to ALLAH ne uski tauba qubool ki*

📕 Paara 1,surah baqar,aayat 37

Tafseer-Tibrani haakim abu nuaim wa baihaki ne maula ali raziyallahu taala anhu se riwayat ki ki jab hazrat aadam alaihissalam jannat se duniya me aaye to aap apni khataye ijtehaadi par 300 saal tak naadim hokar rote rahe magar aapki tauba qubool na huyi,achanak ek din ALLAH ne aapke dil me ye ilqa farmaya ki waqte paidayish maine jannat ke mahlo par uske sutuno par darakhto aur uske patto par hooro ke seeno par gulma ki peshaniyon par LA ILAAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOL ALLAH jalla shanahu wa sallalllaho taala alaihi wasallam likha dekha hai,zaroor ye koi buzurg hasti hai jiska naam ALLAH ne apne naam ke saath likha hua hai to aapne yun arz ki *ALLAHUMMA ASALOKA BIHAQQE MUHAMMADIN AN TAGFIRLI yaani ai ALLAH main tujhse hazrat MUHAMMAD sallallaho taala alaihi wasallam ke sadqe se magfirat chahta hoon* tab ALLAH rabbul izzat ne unki tauba qubool farmayi

📕 Khazayenul irfan,safah 7

*ⓩ* Sochiye jab saari duniya ke baap hazrat aadam alaihissalam ko mere aaqa huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ke wasile ki zarurat hai to phir hum aur aap ki auqaat hi kya hai ki hum bina huzoor ka wasila liye maula se kuchh le saken ya apni magfirat kara saken,isi liye to mere Aalahazrat azimul barkat raziyallahu taala anhu farmate hain ki

*La warabbil arsh jisko jo mila unse mila*
*Batti hai kaunain me nemat Rasool ALLAH ki*
*Wo jahannam me gaya jo unse mustagni hua*
*Hai khalil ullah ko haajat Rasool ALLAH ki*

Sallallaho taala alaihi wasallam

To be continued..........

Comments

Popular posts from this blog

Hazrat Ali ke Aqwaal

Bina Farz ki adaaegi ke Nawafil qubool nahi