PARDA AUR BADNAZRI
* Huzoor sallallaho taala alaihi wasallam irshaad farmate hain ki aankh bhi zina karti hai to jo shakhs apni nazar ko kaabu me nahin rakh paata to use chahiye ki nikah kare aur uski istetaat na rakhta ho to roza rakhe ki roza shahwat ko tod deta hai 📕 Kimiyaye sa'adat,safah 497 * Aurton ke liye aisa libaas jisse ki unke jism ki haibat wa rangat samajh me aaye haraam hai aur aise libaas ko hadise paak me nanga libaas farmaya gaya hai 📕 Islam me parda,safah 9 * Aurat ka ghar ke sahan me namaz padhne se behtar hai ki daalaan me namaz padhe aur daalan me namaz padhne se behtar hai ki kamre me namaz padhe aur kamre me namaz padhne se behtar hai ki tah khaane me namaz padhe 📕 Almalfooz,hissa 3,safah 27 * Ek martaba huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ne apni mahfil me sahabaye kiram se sawal kiya ki aurat ke liye sabse behtareen cheez kya hai,sab khamosh rahe aur kisi ne jawab na diya to maula ali raziyallahu taala anhu uthe aur apne ghar ja...