PARDA AUR BADNAZRI

* Huzoor sallallaho taala alaihi wasallam irshaad farmate hain ki aankh bhi zina karti hai to jo shakhs apni nazar ko kaabu me nahin rakh paata to use chahiye ki nikah kare aur uski istetaat na rakhta ho to roza rakhe ki roza shahwat ko tod deta hai

📕 Kimiyaye sa'adat,safah 497

* Aurton ke liye aisa libaas jisse ki unke jism ki haibat wa rangat samajh me aaye haraam hai aur aise libaas ko hadise paak me nanga libaas farmaya gaya hai

📕 Islam me parda,safah 9

* Aurat ka ghar ke sahan me namaz padhne se behtar hai ki daalaan me namaz padhe aur daalan me namaz padhne se behtar hai ki kamre me namaz padhe aur kamre me namaz padhne se behtar hai ki tah khaane me namaz padhe

📕 Almalfooz,hissa 3,safah 27

* Ek martaba huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ne apni mahfil me sahabaye kiram se sawal kiya ki aurat ke liye sabse behtareen cheez kya hai,sab khamosh rahe aur kisi ne jawab na diya to maula ali raziyallahu taala anhu uthe aur apne ghar jaakar khatune jannat hazrate fatima zuhra raziyallahu taala anha se yahi sawal karte hain to aap farmati hain ki ek aurat ke liye sabse behtar ye hai ki unko gair mard na dekhen,maula ye jawab sunkar bahut khush hue aur phir yahi jawab waapas aakar huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ki baargah me pesh karte hain to huzoor bhi khush hokar farmate hain ki fatima mere hi hissa hai

📕 Fatawa razviyah,jild 9,safah 28

* Aurat ka andhe se bhi parda karna waise hi waajib hai jaise ki aankh waale se

📕 Fatawa razviyah,jild 9,safah 270

* Maaz ALLAH summa maaz ALLAH baaz aurtein gair mardon se chudiyan pahanti menhdi lagwati hain ye haraam haraam haraam hai,usko haath dikhana haraam uske haath me haath dena haraam aur jo mard ispar raazi ho to dayyus hai yaani aurton ka dalaal hai

📕 Fatawa razviyah,jild 9,safah 208

* Huzoor sallallaho taala alaihi wasallam irshaad farmate hain ki duniya shahad ki tarah meethi aur hari bhari hai to maula sabko aazmayega ki kya amal karte ho lihaza duniya se door raho aur aurton se bacho ki bani israyil ka pahla fitna aurton se shuru hua aur farmate hain ki maine apne peechhe mardon ke liye aurat se bada koi fitna na chhoda

📕 Muslim,jild 2,safah 353

* Huzoor sallallaho taala alaihi wasallam irshaad farmate hain ki jab koi gair mard aur aurat tanhayi me milte hain to zaroor wahan teesra shaitan hota hai so jin aurton ke shauhar na hon to unke qareeb na jao ki shaitan tumhari ragon me khoon ki tarah daudta hai

📕 Tirmizi,jild 1,safah 140

* Paarsa aurton ka baazaru aurton se bhi parda karna waajib hai kyunki wo uska huliya zaroor zaroor mardon me batayengi lihaza unse bhi parda karne ka hukm hai

📕 Abu daood,safah 292

Allah Rabbul izzat Apne pyare Habibﷺke Sadke hum tamam momin musalmano ke mardo ko Behaiyai aur buri bato se bachaye aur apni nigahein niche rakhne ki taufiq ata farmayee hamari Aurato ko parda karne ki taufeeq ata farmayee aur unhe v Behaiyai se bachaye..

Aameen Yaa Rabbul Aalameen.

Comments

Popular posts from this blog

Hazrat Ali ke Aqwaal

Waseela वसीला

Bina Farz ki adaaegi ke Nawafil qubool nahi