Shab-e-bara'at mein qabron ki ziyarat
*••}DAILY HADEES-E-PAK{••*
*☞ ❶◎❻ ☜*
*Shab E Bara'at Ke Din QABRO KI ZIYARAT KA EHTAMAAM*
Shab e barat ko hamare muashare main shaher khamoosha ki Eid Qaraar de diya gaya hai log is raat main khusoosi taur par jama'at dar jama'at mard aur bacche namaz e magrib ke baad qabro ki ziyarat ka ehtamaam karte hain aur ise is raat ka masnoon amal Qaraar dete hain is munasibat se qabristaano mein chiraga (yani chiraag wagaira) aur roshni ke saath hi qabro ki safayi aur choona kaari ka bhi ehtamaam kiya jata hai.
Qabro ki ziyarat karna mashrooh amal hai jaisa ke Nabi SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne hazrat Buraida Razi ALLAHU Anhu ki hadees main farmaya ke maine tum ko pehle qabro ki ziyarat karne se mana kiya tha ab tum log qabro ki ziyarat karo.
*Sahih Muslim Hadees no. 977*
Aur Hazrate Abu Huraira Razi ALLAHU Anhu ki hadees mein Rasool ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya qabro ki ziyarat karo is liye ke ye tumhe maut yaad dilaati hai
*Sahih Muslim Hadees no. 976*
Qabro ki ziyarat karna bila tayeen zamaan wa waqt wa munasibat mashrooh amal hai albatta is ke liye kisi khaas din ya kisi khaas munasibat ko makhsoos karna durust nahi, is raat main khaas taur par namaz e magrib ke baad qabristaano ki khususi ziyarat ke liye:
Hazrate Ayesha siddia *رضی اللہ تعالی عنها*
se marvi hadees se istedlaal karte hain ke ek raat Rasool ALLAH *_صــــــــــــــــلى اللـــــــــــه تعــــالــــــــى عليـــــــه وســــــــــــــــلم_*
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ke waha they Aap SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM achanak waha se nikle hazrat Ayesha Razi Allahu Anha bhi aap ke piche nikli to kya dekhti hain ke Aap Baqee Qabrastaan main tashreef le gaye Rasool ALLAH *_صــــــــــــــــلى اللـــــــــــه تعــــالــــــــى عليـــــــه وســــــــــــــــلم_*
ne unhe dekha to farmaya kya tumhe is baat ka andaza tha k ALLAH aur uske Rasool *_صــــــــــــــــلى اللـــــــــــه تعــــالــــــــى عليـــــــه وســــــــــــــــلم_*
tum par zulm karenge, Ayesha Razi Allahu Anha ne kaha ke Ae ALLAH ke Rasool SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM, mujhe ye shak hua tha ke shayad aap kisi aur biwi ke yaha chale gaye tab aap ne farmaya: Beshak ALLAH tabarak o ta'ala shabaan ki pandarvi (15th) raat ko aasmaani duniya par nuzool farmata hai phir is se ziyada wo utne logo ki magfirat karta hai jitne banu kalb ki bakriyon ke baal hain.
*Sunan Tirmizi Hadees no. 739, Sunan Ibne Maaja Hadees no. 1389*
*SUBHANALLAH*
*SUBHANALLAH*
Comments
Post a Comment